Hadith e Noor (Hazrat Jabir RaziAllahoanho)

Article From Mirza Umar (Friend)

Zaeef Riwaayaat bayan karne ka maqsad ye he ke aam awaam ko sahih or ghalat me farq pata chal sake jin ko aaj kal Gumrah firqo ne dalail samajh kar apnaya hua hota he, Or logo ko batil nazariyat ki taraf in riwaayat se dawat dete hain. Allah ta'aala ka bara ehsaan he ke un ki Jhooti dawat or Mangharat rehnumai ki pakar Muhadditheen (rahmatULLAh alaihim) ne kar rakhi he or in Zaeef riwaayaat ko Unho ne is he lie bayan kia hota he k Khare or Khote ki pehchan hosake, ta ke Koi shakhs koi bhi baat Janab e RasoolULLAH sallallahoalaihewasallam ki taraf jhooti mansub na karsake.


Isi tarah Sahih Hadith ko fazilat hasil hoti he or Zaaef or Mozoo riwaayaat ki pehchan alag hojati he. Hamain bhi tehqeeq karni chahiye ke jo Baat Deen ke naam pe kisi ko bayan karte hain wo Sahih he bhi ya nahi, Us ki asal ka malum hona chahiye ke kahin Hum Gher-Danista tor par Jhoot bayan na karrhe hon. Muhammad Sallallhoalaihewasallam ka farmaan he: "Kafi he Aadmi K Jhoota Hone K lie ye Baat K, Jo Wo sunay Us ko Aagay Bayan karde" (Muqadma, Sahih Muslim, Hadees Number: 7), Hadith ki Sanad (Reference) he us ke Sahih or Zaeef hone ki pehchan karati he Or isi Sanad ki wajah se hamain Deen-e-Islam or Sirat e Mustaqim ka ilm hasil hota he lehaza Sanad ka paish karna or Mutalba dono Intehai zaruri hain k Jab Deen Bayan Kia Jarha ho.





Zaeef Riwayat #3



Hazrat Jabir RaziAllahoanha Se riwayat he ke Main ne bargah e Risalat Maab Sallallaho Alaihewasallam Arz Kia: Ya RasoolUllah Sallallaho Alaihewasallam Mere maa baap Aap (Sallallaho Alaihewasallam) par Qurban! Mujhe Batayen ke Allah taa'ala ne Sab se Pehle Kis Chez ko Paida kia?

RasoolULLAH Sallallaho Alaihewasallam ne farmaya: " Ae Jabir! beshak Allah Taala ne tamam Makhlooq (Ko paida karne) se pehle Tere Nabi Ka noor Apne Noor se Paida farmaya, Ye Noor Allah ki Mashiyat se jahan Us ne chaha Sair karta raha. Us waqt na loh thi Na Qalam, Na Jannat thi na dozakh, na (koi) farishta tha na Asman na zameen, na suraj tha na chand, na jin the aur na insan, jab Allah taala ne Iradah Farmaya ke makhlooq ko paida kare to Usne Is Noor ko char Hisson me taqseem kardia. Pehle Hisse se Qalam banaya, dusre hisse se Loh or teesre hisse se arsh banaya. Phir chothay hisse ko mazeed char hisson me taqseem kia to pehle hisse se arsh uthane wale farishte banaye or doosre hisse se Kursi or teesre hisse se baqi farishte paida kie. Phir chotay hisse ko mazeed char hisson me taqseem kia to Pehle hisse se asman banae, dusre hisse se zameen or teesre hisse se Jannat or dozakh banai, Phir chotay hisse ko mazeed char hisson me taqseem kia to Pehle hisse se Momino ki Ankho ka noor banaya, Dusre Hisse se in ke Dilo ka noor (Yani Allah ki muarfat) banaya, teesre hisse se In ke Ins ka noor (Yani Tauheed LAAILAAHA ILLALLAH MUHAMMADUR RASOOLULLAH) paida kia..."


Ye Riwayat Bagher Mukammal Sanad (Unauthenticity) ke In Kutub Me mojood he:
(Al Muwahib al ladunniyya, Jild:1 Page: 89, Kashful Khafa, Page: 237, Hadith# 826, Fatawae Hadithiya, Page:206, Madarij un Nabuwwah, jild:2, Page:2, waghera.... )


>Is Riwayat Ke Zaeef hone ki Waja ye he ke Is Riwayat ki Sanad in kutub me is tarah he ' Imam Abdur Razzaq ki riwayat hay jisy unhoun nain apni Sanad say Jabir Bin Abdullah (RaziAllahoanho) say riwayat kia hay:'



*Imam Abdur Razzaq ki Paidaish (birth) 126 hijri he (Tehzeeb ul kamal, Jild:6, page: 85 Number: 4185) or Hazrat Jabir RazirAllahoanho ki Tarikh e Wafaat (death) 78 Hijri he (Tehzeeb ul Kamal, Jild:2, Page:160, Number:873)



Dono Raawio ke darmyan 48 saal ka waqfa he or Is he lie ye riwayat Mangharat kahi jati he ke is ki Mukammal sanad (chain of narrators) bhi malum nahi hosaki or na Imam Abdur Razzaq ki likhi jane wali kisi bhi kitab me Is riwayat ka koi nishan hai, Ap ki likhi hui kitabo me

(1-Tafseer ul Quran Al-sanani, 2- Musannaf Abdur Razzaq, 3-Jamae Kabir) hain magar kisi kitab main bhi yeh riwayat mojood nahi. Taqreeban adhi sadi ke arse me Do ya Ek Rawi to Imam Abdur Razzaq ki sanad me Hona chahiye tha magar Ye Mangharat Riwayat, Sanad Munqata (breakage) ki Waja se bhi Mozoo qarar di gai he. Is Riwayat Ko katibeen ne Bagher Mukammal Sanad ke likha he or iski Nishandahi ki gai he jiski koi haqiqi hesiyat nahi he.



Aaj k daur ke kuch Kazzabo or Firqa Parast logo ne is Hadith ko sahih sabit karne ke lie Ek Besanad Kitab (Juz al-Mafqud min al-Juz al-Awwal min al-Musannaf Abdur Razaq "Yani Musannaf AbdurRazzaq kay Pehle hissay Ka Gumshuda Hissa") 2005 me publish kar ke is riwayat ki Sanad paish karna chahi Magar AlhamadoLILLAH wo is sazish me nakam hue or Musalamano ko dhoka dene me unhain Ulama e Haq ke samne sharam ka samna karna para, Is Kitab me in Gumrah logo ne 40 k Qareeb ahadith o athar likhe hain, Agar is kitab me Is riwayat ko Pichli kutub se milaya jaye to

Mazkoora Riwayat or Juz e Mafqud (Yani Jaali Juz) ki riwayat ke Alfazo (matan) me Farq he jo bilkul Wazeh kardeta he ye Ye kitab bhi jhooti he

Is Gumshuda Nuskhe Ka Likhne Wala 'Ishaq Bin Abdur Rahman AlSulemani' bataya jata he (see Juze Mafqud, Page 10), Jo ke Majhool (Unknown) he or Us ki Imam Abdur Razzaq tak ki sanad bhi na-mukammal (Break) he.

Is Jaali Nushke or Jhooti Hisse ki Pakar karte hue Musalmano ke samne iski Haqiqat paish karne ke lie Ulama ne bohot bareeki se ilmi or tehqeeqi jaiza likha he jo PDF file me yahan se download kia jaskta he



http://www.muhammadilibrary.com/Books/books-3/Jaali%20Juzz%20Ki%20Kahani%20Aur%20Ulemai%20Rabbani.pdf



Internet par is ki mazeed tafseel in links par bhi dekhi jasakti he (English Ver):


http://www.ahlalhdeeth.com/vbe/showthread.php?t=874&%3Bhighlight=Maysara

http://www.ahlalhdeeth.com/vbe/showthre ... worshipers


Baaz Log Ye dhoka dete hain ke Ye Kitab Jeddah, Saudia Arab se bhi shaye hui he Magar ye Jhoot he Wo Kitab asal me Is ka Radd (Jawab) he jo ke is ko Mangharat hone ke lie Likhi gai he, Aam logo ki arabic se la ilmi ko samne rakhte hue inho ne Us kitab ke 2 pages bhi scan kie hain. Allah hidayat ata farmayen or Sahih Deen ko Samajhne or Is Par amal karne ki tofeeq ata farmayen or Iman me Barkat ata farmayen...

Continue.....

------------------------------------------
Continue Description of

Zaeef Riwayat #3

Riwayat e Noor (Hazrat Jabir RaziAllahoanho) Apni Sanad ke lehaz se To Zaeef Sabit hoti he hai, lekin Us ka Matan (Mafhoom) bhi Quran or Ahadith e Sahiha (Authentic Ahadith) kay bhi Bilkul Khilaf he:

Jesa Tirmizi Sharif, Abu Daud, Musnad e Ahmad or deegar Kutub e Ahaadith me Ye Sahih o Mustanad Hadith he

Ubadah Bin Samit (RaziAllahoAnho) Bayan karte hain ke, Muhammad Ur RasoolUllah Sallallaho alaihewasallam ne farmaya:

"Sab se Pehli Cheez Jo Allah Ne Paida farmai wo Qalam thi, Phir Usse Kaha ke Likho, To is Qalam ne kaha Kia Likhun? Allah ta'aala Ne Farmaya: Taqdeer likho, Qayamat tak qayem hone wali har har cheez ki."

References: (Jamia Tirmizi, Kitab ul Qadr, Hadees Number: 2162, Abu Daud, Kitab us Sunnah, Hadees Number: 4700, Musnad e Ahmad, Jild: 5, Hadees Number: 21649, Behqi, Mishkat waghera...)

Is Sahih Hadith e Rasool Sallallaho alaihewasallam ko samne dekh kar khud andaza hojata he ke Allah ne Sab se pehle kia paida farmaya or Kia Aqeedah Islam hamain sikhata he.

>>Hadith e Noor, Islam ke Ek is Bunyadi Aqeedah ke bhi Khilaf he ke Allah Subhanahu WaTa'aala ne Poori insaniyat ke Walid Hazrat Adam Alaihesalam ko Bina Maa or Baap ke Matti se paida farmaya jesa Allah ta'aala ka farman he:

Al Quran:

Allah Ta'alaa kay nazdeek Eesa (alaih-e-salam) ki Misal Hoo ba hoo Aadam (alaih-e-salam) ki Misal jesi hai Jinhain Mitti say bana ker Farma diya kay (Insan) ho ja! Pus woh hogaya! (Surah Aal e Imran, Ayat: 59)

Aur Hamare Piare Nabi Muhammad Sallallahoalaihe wasallam ke Walid or Walidah dono Mojood the aur Aap Sallallahoalaihe wasallam, Hazrat Aadam alaihesalam he ki Aulaad me se hain Aur jesa Aap Sallallahoalaihewasallam ne Farmaya:

"Allah Taalaa ne Farishto ko Noor se paida farmaya or Iblees ko Aag se, Aur Aadam alaihe salam ko jis cheez se Paida kia gya Wo Quran me batadia gya he. (Yani Mitti se)"

(Sahih Muslim, Kitab uz Zohod, Hadees Number: 7495)

Is Bunyadi Taleem or Aasan Nazariye ko Batil Firqo ne Apne tor par badalne ki koshish ki magar wo Hamesha ki tarah Nakam he hue. Sach ke aagay un ka dhakosla bilkul bekar sabit hua.

Tamam Ambiya Alaihemussalam Insan (bashar) The or unki Takhleeq bhi Mitti he se hui Jese Hazrat Aadam Alaihesalam ki hui or Allah ne Noor se Farishto ko paida farmaya na ke Insano ko. Allah ta'ala ne Apne Inhe Bando me se Hidayat phelane ke Lie Nabiyo ko chuna ta ke Poori duniya ke lie Misaal sabit hosaken Aur Hamare Aakhri Nabi Rehmat e Do Aalam (Sallallahoalaihe wasallam) ko Bhi Taa Qayamat Aala Misal Muntakhib kia or Buand o Behtreen Rehnumai sabit karwai.

Allah Ta'ala Farmate Hain:

"Aur Hum ne Aap (Sallallahoalaihe wasallam) se pehle Mard he (Bator Peghambar) Bheje, Jin ki taraf Hum Wahi bhejte the. Agar Aap nahi jante to jo Yaad rakhte hain un se Malum karlen. Aur Hum ne un ke lie Aise Jism nahi banaye the ke Khana na Khayen or Na wo Hamesha Zinda rehne wale the" (Surah e Ambiya, Aayat: 7 and 8)

Aur Allah Subhanahu WaTa'aala ne Farmaya:

"Aap (Sallallahoalaihe wasallam) farmadijie ke Mein Tumhari Tarah he Bashar (Insan) hun, (Han) Meri Janib Wahi Ki Jati he ke Sab ka Mabood Ek he Mabood (Allah) he, To Jisay bhi apne Rab se milne ki aarzu ho to usay chahiye ke naik aamaal kare aur Apne apne Parwardigar ki ibadat me kisi ko shareek na kare" (Surah e Al Kahf, Ayat: 110)

Or Irshad Kia Ke:

"Aap (Sallallahoalaihe wasallam) farmadijie Ke "Mein Tum se ye Nahi Kehta ke Mere Pas Allah ke Khazane Hain, Or na ye ke Main Ghaib ka Ilm Janta hun or Na Main tum se ye kehta hun ke Me Farishta hun, Balke me To Wahi ki Itteba karta hun jo Meri taraf bheji jati he, Aap (Sallallaho alaihewasallam) kahiye ke Andha or Beena Kahin Barabar hosakta he, So kia tum Ghor nahi karte?" (Surah e Anaam, Ayat: 50)

Hadith e Noor apni sanad or matan me bilkul Wazeh tor par Mangharat sabit hoti he Ke us ka hamare Deeni Aqaid or Nazariyat me koi wujood nahi he, Allah ta'aala Hamain Asal Deen ko Samajhne Or Kitab o Sunnat se Muhabbat ka jazba Ata farmayen or Logo ki Islah Farmayen Batil o Bewajood Aqaid or Dalail se Hamari bhi Hifazat farmayen . Ameen

0 comments:

welcome to my blog. please write some comment about this article ^_^